Sad Shayari :

1. Yaadein

Do dafa karti hai apno waali,gairo waali 100 dafa karti hai.
Yaadien zakhm deti hai,khair… yaadien haq adaa karti hai.

Uska aks dikhe har khawaab main,batao ab main kya karu?
Kitna an-chaha ye deedar hai, ab kaise main bayaan karu?
Baat ye nahi ke wo nahi chhaiye,baat ye hai ki yun nhi chahiye.
Aaye to haqiqat mein wo bhi ta-umar,ye khyaalo mein pall 2 pall ka sukoon nahi chahiye.

Khule asmaan ka parinda hun, ye beeti baatein mujhe tang bada karti hai.

Yaadien zakhm deti hai,khair… yaadien haq adaa karti hai

Naam kya Dildaar rakha main sab loota betha hun
Tu bhi na Mila kabhi,hai ban khuda kyu betha tu
Main paagal sa tu tez boht hai
Yaan shayd tere bhes boht hai
Yaan shayd tu to bholi hai
Par aas paas fareb boht hai

Yaan shayd tu khilaadi hai,jo dillo se khel Kara karti hai

Teri yaadein zakhm deti hai, par yaadein hai na apna haq adaa karti hai

2. Kyun Aaj Shayar Hun

Hai adhmara ye shaqs kyunke ek hissa tha jo ab kissa bann gaya
Kabhi pehchaan thi uski mere hi naam se najaane ab kiska ban Gaya
Kabhi pooja tha usse maine apna khuda maan kar
Ab dekho udhaaran wahi jhuthe ishq ka ban gaya

Wo naye rishte jode puraane tod kar, khus khoob ho jaaye taufe mod kar
Haath chhudaaye haath jod kar,khwaab sajaaye khwaab todkar
Khilona samjhe wo rishto ko tabhi dil behlaaye dill tod kar

Main ab jaan chuka hun ye duniya matlabi hai
Matlab pura hone par har shaqs ajnabi hai
Fir tu kon main kon bas yahi Satya hai
Dagabazi inka mazhab aur ye sab mazhabi hai

Main aur kahu kya main raha na kehne ke layak hun
Iss jung-e-maidaan mein main bas ek kayar hun
Marham na bana koyi main arso se ghayal hun
Har shaqs baigaana huaa hai tabhi aaj shayar hun

Sad Poetry is exactly what you need when you are broken

3. Sab Khairiyat

Ab hum bhale hi saath nahi, pr aaj bhi teri fikar hai
Aaj bhi khusboo taazi hai tere pyaar ka laga ittar hai
Aaj bhi din bhar tu hi tu, aur kaam kaaj mujhe kya hoga
Khuda kasam khuda ke ghar bhi har ghadi tera zikr hai

Tu choome maatha sapno mein,haqiqat chaahe kuchh aur hai
Tere saath kata ikk arsa tha,ab yaadon ka lamba daur hai
Kon hai tera siwa in khyalo mein bata mere kon hai?
Tera siwa inn khyalo mein yaan maa hai yaan shayar Jaun hai

Tu khush nhi hai maalum hai,main khush nhi ye wajib hai
Ye tera mera ab saath na hona khudha ki rachi ek sajish hai
Ro leta hun andhero mein,main aise samien bitata hun
Jab koi puchhe kabhi haal mera boht khush btata hun

Tu bhi ek baat jaan,hasa kar chaahe kuchh bhi ho
Tera sab kuch sahi rahe mera chaahe kuchh bhi ho
Mere mann mein baat hai ek,tum chaaho to puchhu kya?
Main neend mein pukaaru tumhe kya tum khwaabo mein rukti ho?

Kya aati hai tumhe yaad meri? kya hun main tumhe yaad bhi?
Kya tum khush ho khud hi khud mein? yaan chidchidi ho aaj bhi?
Kaisa hai ab haal tumhara behtar hai yaan badtar hai?
Dil ki dhadkan thik hai? yaan meri tarah pathar hai?

Sad Poetry is a cure for broken souls.

4. Dil Bechaara Kya Kare?

Nazro se kare waar aur zara bhi na daya kare
Ab dill bechara fass gaya ab dill bechara kya kare?

Usse jannat dilaa du agar khareed ho
Haal kamaal lage wo jab kareeb ho
Ho jaaye gar wo aankho se ojhal
Dill kahaan lage dill mareez ho

Nain naksh udke qaatilana,qatal kare,na daya kare
Ab dil bechara fass gaya ab dill bechara kya kare?

Ek raaz khula ek roz fir
Ki mehram achhi insaan nahi
Wo jis kisi ki zindagi bani
Bas pallo ki mehmaan Rahi
Sirat mein bhara hai khot bas
Bhale surat ka jawaab nahi
Dill to laga leti hai wo par
Kab tak? hisaab nahi

Adhmara Kare aashiqo ko,koyi sharam haya na kare
Ab dil bechara fass gaya ab dill bechara kya kare?

Ab dill bechara soche ki kyu socha tha uske baare
Behtar hota gar andhe hote
Fir dill bichara qalam pukaare aur likhte likhte soche ki
Kya likhte agar andhe hote?

To write Sad Poetry you need to be broken

One thought on “Sad Shayari :

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *